Hum To Mashur The Shiddat Ke Sabab Bol UThe

hum to mashur the shiddat ke sabab bol uThe

wo but-e-sang bhi mumkin hai ki ab bol uThe

phul alfaz ke phenke hain usi ki jaanib

jaane wo jaan-e-ada naz se kab bol uThe

samna un ka hua jab to thi nazren nichi

be-qarari mein mere dast-e-talab bol uThe

qatl mera bhi hua aur shah-e-waqt ka bhi

ek pe KHamosh rahe ek pe sab bol uThe

uTh ke sahraon se maghrib ko hila de aandhi

yak-zaban ho ke agar arz-e-arab bol uThe

mutmain kyun hain jawan chhati pe patthar rakh kar

waqt paDne pe 'asar' koh ke lab bol uThe

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Mashur The Shiddat Ke Sabab Bol UThe In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Hum To Mashur The Shiddat Ke Sabab Bol UThe is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Hum To Mashur The Shiddat Ke Sabab Bol UThe for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Hum To Mashur The Shiddat Ke Sabab Bol UThe in PDF.