Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-pas

kheton ke beach phul ke bistar ke aas-pas

mausam to aa ke baiTh mere ghar ke aas-pas

be-qaid-o-rang kaundti rangin machhliyan

dekhi hain main ne ganw ke pokhar ke aas-pas

ye kya hua ki aaj bahut tez dhup hai

saya mila na shaKH-e-tanawar ke aas-pas

sarson ke kisht-zar mein aisa laga ki hun

fitrat ki chhinT-dar si chadar ke aas-pas

mujh ko na sath-e-ab pe kuchh bhi mila 'asar'

ghota laga ke pahuncha hun gauhar ke aas-pas

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-pas In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-pas is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-pas for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Kheton Ke Beach Phul Ke Bistar Ke Aas-pas in PDF.