Mazhab-e-ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla

mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

qais jab dasht ko nikla to pareshan nikla

shiddat-e-shauq mein sarmast-o-shadan nikla

gham-rasida bhi agar tha to ghazal-KHwan nikla

un se milne ki tamanna liye Darta hi raha

dil ye kafir mera dar-parda musalman nikla

sham aai to lab-e-lalin ki shoKHi le kar

mehr bikhraate hue lal-e-badaKHshan nikla

jab ki parwaz-e-taKHayyul ne bhi surat pali

kitna be-mani sa ab taKHt-e-sulaiman nikla

jaane kab chupke se aankhon ne dar-e-dil khola

aaya ek bar to phir ghar se na mehman nikla

KHwab hi achchhe the TuTe to hua ye ifsha

jis ko gulzar samajhte the bayaban nikla

qaidi-e-husn ki sarkar mein peshi jo hui

ishq sarshaar tha didar ka unwan nikla

daere fikr ke mahdud hon mumkin hi nahin

kab 'asar' mo'tarif-e-tangi-e-daman nikla

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazhab-e-ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Mazhab-e-ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Mazhab-e-ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Mazhab-e-ishq Ke Irfan Pe Hairan Nikla in PDF.