Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan To Hai

na koi dar na daricha magar makan to hai

zamin hai zer-e-qadam sar pe aasman to hai

hazar jalwon ka to raaz-dan hai aaina

hui na aankh mayassar tujhe zaban to hai

badalta rahta hai rang aasman lamhon mein

sitam-shiar abhi mujh se KHush-guman to hai

gham-e-hayat se ghabra ke tajarbe ke liye

chale hi jaenge ab dusra jahan to hai

tamam sahra-o-dasht-o-jabal kahen labbaik

azal se phaili fazaon mein ek azan to hai

zahe-nasib jagah thoDi chashm-e-tar mein mili

sulagti dhup mein ek sard saeban to hai

mohr-ba-lab hun pa shart-e-kalam qaem hai

meri shakeb-e-ayazi ka imtihan to hai

saud fikr-e-taghazzul ko bojh hai to rahe

har ek harf haqiqat ka tarjuman to hai

asar ke sher mein husn-o-kashish ki hai taujih

nai jihat na sahi zeb-e-dastan to hai

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan To Hai In English By Famous Poet Marghoob Asar Fatmi. Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan To Hai is written by Marghoob Asar Fatmi. Read famous Poem Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan To Hai for youth and Student by Marghoob Asar Fatmi. Free Download Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan To Hai in PDF.