KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin

KHala ka KHauf pas-e-parda-e-ghubar nahin

hisar-e-KHak se phir bhi koi farar nahin

ubur kar lin haden hum ne na-rasai ki

magar tawalat-e-imkan mein iKHtisar nahin

yahi bahut hai ki miTTi jaDon se lipTi hai

wagarna aaj daraKHton mein barg-o-bar nahin

kahin ye sail-e-safar raegan na sabit ho

ki justuju ke shab-o-roz ka shumar nahin

simaT rahe hain wo ek Dubte jazire mein

abhi ye raaz kinaron pe aashkar nahin

zamin ki KHushk ragon mein rawan jo rahta tha

kanar-e-dasht-e-hawas ab wo aab-zar nahin

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin In English By Famous Poet Marghoob Hasan. KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin is written by Marghoob Hasan. Read famous Poem KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin for youth and Student by Marghoob Hasan. Free Download KHala Ka KHauf Pas-e-parda-e-ghubar Nahin in PDF.