Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha

wo pech-o-KHam jo alag meri rahguzar se tha

mujhe KHabar hai numayan mere safar se tha

guzar gaya tha kisi raaz ki tarah wo naqsh

dhula hua jo meri KHak-e-KHair-o-shar se tha

hawa ke sath safar ka na hausla tha jise

sabhi ko KHauf usi lamha-e-sharar se tha

kanar-e-sham ufuq tha wahi magar viran

KHala ke silsila-e-lams ke asar se tha

ruka hua tha KHamoshi ki tah mein sail koi

KHatar use bhi meri tarah bahr-o-bar se tha

meri nigah mein hael the barg-o-bar-e-KHizan

ghira hua main ajab saya-e-shajar se tha

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha In English By Famous Poet Marghoob Hasan. Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha is written by Marghoob Hasan. Read famous Poem Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha for youth and Student by Marghoob Hasan. Free Download Wo Pech-o-KHam Jo Alag Meri Rahguzar Se Tha in PDF.