Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai

saqi bhi mai-e-gulfam bhi hai rindon ko sala-e-am bhi hai

gardish mein chhalakta jam bhi hai bahken to magar ilzam bhi hai

sab kuchh main luTa deta lekin kya kahiye ki un ki nazron mein

hushyari ki talqin bhi hai sar-masti ka paigham bhi hai

tanwir-e-numud-e-subh bhi hai aariz ke damakte jalwon mein

zulfon ke machalte sae mein taswir-e-sawad-e-sham bhi hai

ai dil ye junun ki manzil hai kuchh sud-o-ziyan ki fikr na kar

har gam pe yan rahraw ke liye aaghaz bhi hai anjam bhi hai

ab dair-o-haram ki shorish ko ai waiz-e-nadan bhul bhi ja

ye bazm ki bazm-e-rindan hai yan kufr bhi hai islam bhi hai

shohrat bhi mili izzat bhi mili lekin ye 'jamal'-e-naghma-sara

dil-gir bhi hai barbaad bhi hai nashad bhi hai nakaam bhi hai

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai In English By Famous Poet Masood Akhtar Jamal. Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai is written by Masood Akhtar Jamal. Read famous Poem Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai for youth and Student by Masood Akhtar Jamal. Free Download Saqi Bhi Mai-e-gulfam Bhi Hai Rindon Ko Sala-e-am Bhi Hai in PDF.