Talash-e-kaun-o-makan Hai Na La-makan Ki Talash

talash-e-kaun-o-makan hai na la-makan ki talash

ye zindagi hai gham-e-ishq-e-jawedan ki talash

isi zamin ko hamein aasman banana hai

hamein nahin hai kisi aur aasman ki talash

kisi ko manzil-e-ishrat ka gham hai aur mujhe

hui hai manzil-e-ishrat pe karwan ki talash

ye KHwab hai ki hai tabir-e-KHwab ai gham-e-dil

har ek qadam hai yahan umr-e-raegan ki talash

bahaar-e-lala-o-gul barq-e-be-aman nikli

kahan kahan na rahi mere aashiyan ki talash

jo ho sake to mera gham hi jawedan ho jae

'jamal' mujh ko nahin aish-e-jawedan ki talash

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash-e-kaun-o-makan Hai Na La-makan Ki Talash In English By Famous Poet Masood Akhtar Jamal. Talash-e-kaun-o-makan Hai Na La-makan Ki Talash is written by Masood Akhtar Jamal. Read famous Poem Talash-e-kaun-o-makan Hai Na La-makan Ki Talash for youth and Student by Masood Akhtar Jamal. Free Download Talash-e-kaun-o-makan Hai Na La-makan Ki Talash in PDF.