Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle

ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle

jaane kis moD pe kis hath mein KHanjar nikle

moajaza ban gai kya aaj meri tishna-labi

ek qatre ke tale kitne samundar nikle

gir gaya ho jo fasilon ko uTha kar KHud hi

kaise ab apne hisaron se wo bahar nikle

rahbaro tum ne to manzil ka pata bhi na diya

tum se behtar to meri rah ke patthar nikle

umr bhar zehn mein chubhta raha ek nashtar-e-gham

jitne ehsas the sab mera muqaddar nikle

tum se chhoDi na gai rah-e-wafa phir bhi 'hayat'

kitne be-dard mile kitne sitamgar nikle

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle In English By Famous Poet Masooda Hayat. Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Ghar Se Jo ShaKHs Bhi Nikle Wo Sambhal Kar Nikle in PDF.