Khaali Sharab-e-ishq Se Saghar Kabhi Na The

KHali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the

aise to KHushk dal ke samundar kabhi na the

jo sang-e-ehtisab yaganon ke pas hain

dushman ke hath mein bhi wo patthar kabhi na the

kis samt ja rahe hain unhen KHud pata nahin

yun be-KHabar to rah se rahbar kabhi na the

dil TukDe TukDe ho gaya zaKHmi hai ruh bhi

itne to tez waqt ke nashtar kabhi na the

milta nahin kahin bhi dar-o-baam ka nishan

hum ghar mein rah ke itne to be-ghar kabhi na the

kya jaanen kya huin wo hasin shoKHiyan 'hayat'

aise niDhaal phul se paikar kabhi na the

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khaali Sharab-e-ishq Se Saghar Kabhi Na The In English By Famous Poet Masooda Hayat. Khaali Sharab-e-ishq Se Saghar Kabhi Na The is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Khaali Sharab-e-ishq Se Saghar Kabhi Na The for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Khaali Sharab-e-ishq Se Saghar Kabhi Na The in PDF.