Koi To Dil Ki Nigahon Se Dekhta Jae

koi to dil ki nigahon se dekhta jae

hamari ruh ke kuchh gham sameTta jae

tumhaare milne ki har aas aaj TuT gai

tumhin batao ki ab kis tarah jiya jae

zara to sochiye us dil ka haal kya hoga

talash-e-gul mein jo patthar ki choT kha jae

saja ke tum ko gulon se uThae hain patthar

zamana kitna sitamgar hai kya kiya jae

karenge kaise haqiqat ka samna hum log

hamein to KHwab hi koi dikha diya jae

kisi tarah to andhere ghamon ke chhaT jaen

mera bujha hua dil hi koi jala jae

rah-e-hayat mein kanTe bichhen ki phul khilen

ye shart hai teri jaanib wo rasta jae

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi To Dil Ki Nigahon Se Dekhta Jae In English By Famous Poet Masooda Hayat. Koi To Dil Ki Nigahon Se Dekhta Jae is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Koi To Dil Ki Nigahon Se Dekhta Jae for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Koi To Dil Ki Nigahon Se Dekhta Jae in PDF.