Kya Kahen Mahfil Se Teri Kya UTha Kar Le Gae

kya kahen mahfil se teri kya uTha kar le gae

hum mata-e-dard ko tanha uTha kar le gae

dhup ka sahra nazar aata hai ab chaaron taraf

aap to har peD ka saya uTha kar le gae

is bhari duniya mein ab to koi bhi apna nahin

jaise tum har dard ka rishta uTha kar le gae

qatre qatre ko taraste hain wo ab ahl-e-hawas

jo kabhi dharti se har dariya uTha kar le gae

ab wahi zarre hamare haal par hain KHanda-zan

aasman tak jin ko hum uncha uTha kar le gae

kya gharaz hum ko wahan ab koi bhi aabaad ho

hum to us basti se ghar apna uTha kar le gae

wo to majnun tha raha jo umar bhar sahra-naward

hum jahan pahunche wahin sahra uTha kar le gae

kar na pae rahbar bhi rahnumai jab 'hayat'

hum bhi hairani mein naqsh-e-pa uTha kar le gae

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahen Mahfil Se Teri Kya UTha Kar Le Gae In English By Famous Poet Masooda Hayat. Kya Kahen Mahfil Se Teri Kya UTha Kar Le Gae is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Kya Kahen Mahfil Se Teri Kya UTha Kar Le Gae for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Kya Kahen Mahfil Se Teri Kya UTha Kar Le Gae in PDF.