Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae

duniya mein hum jo apni haqiqat ko pa gae

to zindagi ke raaz samajh mein sab aa gae

ye sochte hain sirf yahi sochte hain ab

hum tere dar pe lae gae hain ki aa gae

kaliyon ko khul ke hansne ka andaz aa gaya

gulshan mein aa ke tum jo zara muskura gae

apna maqam bhi mutayyan na kar sake

wo kya kahenge dahr mein kya aae kya gae

zeba tha un ko dawa-e-tamir-e-gulsitan

jo bijliyon mein rah ke nasheman bana gae

ek hum hain rah DhunD rahe hain idhar udhar

ek wo hain KHush-nasib jo manzil ko pa gae

rah-e-wafa mein aae hain wo marhale jahan

'mail' baDe-baDon ke qadam Dagmaga gae

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae In English By Famous Poet Mayal Khairabadi. Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae is written by Mayal Khairabadi. Read famous Poem Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae for youth and Student by Mayal Khairabadi. Free Download Duniya Mein Hum Jo Apni Haqiqat Ko Pa Gae in PDF.