Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak

bikhar jae na meri dastan tahrir hone tak

ye aankhen bujh na jae KHwab ki tabir hone tak

chalae ja abhi tesha qalam ka koh-e-zulmat par

siyahi waqt bhi leti hai ju-e-shir hone tak

isi KHatir mere ashaar ab tak Diary mein hain

kisi aalam mein ji lenge ye aalamgir hone tak

tere aaghaz se pahle yahan jugnu chamakte the

ye basti muflison ki thi teri jagir hone tak

mujhe tanz-o-malamat ki baDi darkar hai yun bhi

ana ko shan bhi to chahiye shamshir hone tak

mohabbat aaKHirash le aai hai ek band kamre mein

teri taswir ab dekhunga KHud taswir hone tak

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Bikhar Jae Na Meri Dastan Tahrir Hone Tak in PDF.