Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha

ek chand tirgi mein samar raushni ka tha

phir bhed khul gaya wo bhanwar raushni ka tha

suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar

binaiyon pe phir jo asar raushni ka tha

sab chandni kisi ki inayat thi chand par

us daghdar show pe kawar raushni ka tha

maghrib ki mad-bhari hui raaton mein kho gaya

is ghar mein koi laKHt-e-jigar raushni ka tha

dariya mein us ne Dub ke kar li hai KHud-kushi

jis shai ka aasman pe safar raushni ka tha

zarre ko aaftab banaya tha hum ne aur

dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Ek Chand Tirgi Mein Samar Raushni Ka Tha in PDF.