Miyan Majburiyon Ka Rabt Aksar TuT Jata Hai
miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai
wafaen gar na hon buniyaad mein ghar TuT jata hai
shanawar ko koi daldal nahin dariya diya jae
jahan kam-zarf baiThe hon suKHnawar TuT jata hai
ana KHud-dar ki rakhti hai us ka sar bulandi par
kisi poras ke aage har sikandar TuT jata hai
hum apne dosto ke tanz sun kar muskuraate hain
magar us waqt kuchh andar hi andar TuT jata hai
mere dushman ke jo haalat hain un se ye zahir hai
ki ab shishe se Takrane pe patthar TuT jata hai
sanjo rakkhi hain dil mein qimti yaaden magar phir bhi
bas ek nazuk si Thokar se ye locker TuT jata hai
kinare par nahin ai dost main KHud hi kinara hun
mujhe chhune ki koshish mein samundar TuT jata hai
(458) Peoples Rate This