Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke

qaid-e-shab-e-hayat badan mein guzar ke

uD jaunga main subh aziyyat utar ke

ek dhup zindagi ko yun sahra bana gai

aae na is ujaD mein mausam bahaar ke

ye be-gunah shama jalegi tamam raat

is ke labon se chhu gae the lab sharar ke

silan ko rah mil gai dimak ko sair-gah

anjam dekh lijiye ghar ki darar ke

sajti nahin hai tum pe ye tahzib-e-maghribi

ek to phaTe libas hain wo bhi udhaar ke

baadal nahin huzur ye aandhi hai aag ki

aankhon se dekhiye zara chashma utar ke

jab hathkaDi ko toD ke kafir hua farar

rote rahe asir KHuda ko pukar ke

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Qaid-e-shab-e-hayat Badan Mein Guzar Ke in PDF.