Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho

ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho

aql ka dawa-e-baaligh-nazari to dekho

sar paTakte hain ki diwar-e-KHumistan Dha den

hazrat-e-shaiKH ki aashufta-sari to dekho

aaj har zaKHm ke munh mein hai zaban-e-fariyaad

mere isa ki zara chaaragari to dekho

qaid-e-nazzara se jalwaon ko nikalne na diya

doston ki ye wasia-un-nazari to dekho

un se pahle hi chale aae janab-e-naseh

mere nalon ki zara zud-asari to dekho

hai taghaful ki tawajjoh nahin khulne pata

husn-e-masum ki bedad-gari to dekho

mujh se hi puchh raha hai meri manzil ka pata

mere rahbar ki zara rah-bari to dekho

un ko de aae hain KHud apni mohabbat ke KHutut

gham-gusaron ki zara nama-bari to dekho

donon hi rah mein Takraate chale jate hain

ishq aur aql ki ye ham-safri to dekho

jawedan qurb ke lamhat hue hain mazhar

tair-e-waqt ki be-baal-o-pari to dekho

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho In English By Famous Poet Mazhar Imam. Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Ab Bhi Parde Hain Wahi Parda-dari To Dekho in PDF.