Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana

ajib waqia tha us ko apne ghar lana

kabhi charagh uThana kabhi qamar lana

bayan-e-ijz mein alfaz-e-mo'atabar lana

baDa kamal duaon mein hai asar lana

bahut hai aaj tamanna uDan bharne ki

qafas se ja ke hamare shikasta par lana

thake hue hain sabhi paemal rahon par

kahin se DhunD ke phir taza rah-guzar lana

wo shoKH rang ka shaida hai ye KHayal rahe

qarib aana to KHud ko lahu mein tar lana

bas ek kaam hua hum se zindagi mein 'imam'

ayagh-e-umr sharab-e-ziyan se bhar lana

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana In English By Famous Poet Mazhar Imam. Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Ajib Waqia Tha Usko Apne Ghar Lana in PDF.