Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi

apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi

main ne kuchh waqt tere sath guzara tha kabhi

aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai

main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi

ab agar ashk umanDte hain to pi jata hun

hausla aap ke daman ne baDhaya tha kabhi

ab usi git ki lai soch rahi hai duniya

main ne jo git teri bazm mein gaya tha kabhi

meri ulfat ne kiya ghair ko mail warna

main teri anjuman-e-naz mein tanha tha kabhi

kar diya aap ki qurbat ne bahut dur mujhe

aap se buad ka ehsas na itna tha kabhi

dost nadan ho to dushman se bura hota hai

mujh ko apne dil-e-nadan pe bharosa tha kabhi

(416) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi In English By Famous Poet Mazhar Imam. Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi in PDF.