Apne Riste Hue ZaKHmon Ki Qaba Laya Hun

apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun

zindagi meri taraf dekh ki main aaya hun

kisi sunsan jazire se pukaro mujh ko

main sadaon ke samundar mein nikal aaya hun

kaam aai hai wahi chhanw ghani bhi jo na thi

waqt ki dhup mein jis waqt main kumhlaya hun

KHairiyat puchhte hain log baDe tanz ke sath

jurm bas ye hai ki ek shoKH ka ham-saya hun

subh ho jae to us phul ko dekhun ki jise

main shabistan-e-bahaaran se uTha laya hun

asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le

ek miTti hui tahzib ka sarmaya hun

(322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Riste Hue ZaKHmon Ki Qaba Laya Hun In English By Famous Poet Mazhar Imam. Apne Riste Hue ZaKHmon Ki Qaba Laya Hun is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Apne Riste Hue ZaKHmon Ki Qaba Laya Hun for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Apne Riste Hue ZaKHmon Ki Qaba Laya Hun in PDF.