Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha

bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha

sahar ke waqt taqaza-e-sham kitna tha

ruKH-e-zawal pe rang-e-dawam kitna tha

ki ghaT ke bhi mera mah-e-tamam kitna tha

tha tere naz ko kitna meri ana ka KHayal

mera ghurur bhi tera ghulam kitna tha

jo pau phaTi to har ek dastan tamam hui

ajab ki un ke liye ehtimam kitna tha

unhin ko yaad kiya jab to kuchh na yaad aaya

wo log jin ka zamane mein nam kitna tha

abhi shajar se judai ke din na aae the

paka hua tha wo phal phir bhi KHam kitna tha

wahan to koi na tha ek apne gham ke siwa

mere makan pe magar izhdiham kitna tha

(483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha In English By Famous Poet Mazhar Imam. Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Bhara Hua Teri Yaadon Ka Jam Kitna Tha in PDF.