Chupke Chupke Ye Kaam Karta Ja

chupke chupke ye kaam karta ja

kaam sab ka tamam karta ja

hum ko badnam kar zamane mein

kuchh zamane mein nam karta ja

yaad ki shah-rah-e-simin par

ai saman-bar KHiram karta ja

ai ki tera mizaj shabnam sa

barg-e-dil par qayam karta ja

ashk aankhon mein le ke ruKHsat ho

mera marna haram karta ja

bastiyon ka ujaDna basna kya

be-jhijak qatl-e-am karta ja

dastan-go teri kahani mein

ramz kiya hai kalam karta ja

chaar chhai sher kaam ke kah le

kuchh to 'mazhar--imam' karta ja

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chupke Chupke Ye Kaam Karta Ja In English By Famous Poet Mazhar Imam. Chupke Chupke Ye Kaam Karta Ja is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Chupke Chupke Ye Kaam Karta Ja for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Chupke Chupke Ye Kaam Karta Ja in PDF.