Dard-e-alam Bhi Kahin Dard-e-mohabbat Hi Na Ho

dard-e-alam bhi kahin dard-e-mohabbat hi na ho

dil ke bahlane ki ye bhi koi surat hi na ho

aaj tazin-e-jamal ek fasana hi sahi

kal ye mashshatgi-e-husn haqiqat hi na ho

un ki aankhon mein machalta hai jo afsana-e-shauq

sochta hun kahin wo meri hikayat hi na ho

be-ruKHi par jise mahmul kiya karta hun

wo bhi kuchh aap ka andaz-e-mohabbat hi na ho

aaj KHud husn ko dekha hai sar-e-kucha-e-ishq

dekhen aaghaz koi taza riwayat hi na ho

aql bhi ab rasan-o-dar tak aa pahunchi hai

tiflak-e-shauq ki ek ye bhi shararat hi na ho

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-alam Bhi Kahin Dard-e-mohabbat Hi Na Ho In English By Famous Poet Mazhar Imam. Dard-e-alam Bhi Kahin Dard-e-mohabbat Hi Na Ho is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Dard-e-alam Bhi Kahin Dard-e-mohabbat Hi Na Ho for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Dard-e-alam Bhi Kahin Dard-e-mohabbat Hi Na Ho in PDF.