Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha

jaise kisi tufan ka KHadsha bhi nahin tha

kya log the andesha-e-farda bhi nahin tha

wo kaise musafir the ki be-zad-e-safar the

sine pe koi bar-e-tamanna bhi nahin tha

kyun log mazaron pe dua mang rahe the

mujh par kisi aaseb ka saya bhi nahin tha

kis bagh-e-tilismat mein gum ho gain aankhen

main ne teri jaanib abhi dekha bhi nahin tha

kyun taza hawa ka koi jhonka nahin aaya

ehsas ke dar par koi parda bhi nahin tha

nashsha dar-e-gandum ka hiran hone se pahle

jannat se nikalna hai ye socha bhi nahin tha

girti hui diwar ko sab dekh rahe the

is shahr mein kuchh aur tamasha bhi nahin tha

na-karda-gunahi ki saza de mujhe ya-rab

jo kaam kiya main ne wo achchha bhi nahin tha

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha In English By Famous Poet Mazhar Imam. Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Jaise Kisi Tufan Ka KHadsha Bhi Nahin Tha in PDF.