Hath UThte Hi KaTa Chaliye Yahan Se Chaliye

hath uThte hi kaTa chaliye yahan se chaliye

kya dua kaisi dua chaliye yahan se chaliye

baz hai koi daricha na koi dar hai khula

koi jalwa na ada chaliye yahan se chalen

us ke ghar par bhi wahi shahr-e-KHamoshan ka saman

koi aahaT na sada chaliye yahan se chaliye

KHwab KHushbu-e-talab rang-e-hawas naz-e-wafa

sara sarmaya gaya chaliye yahan se chaliye

koi saya na shajar koi tamanna na umang

uD gai sar se rida chaliye yahan se chaliye

is chaka-chaund mein sikkon ki parakh kya hogi

koi khoTa na khara chaliye yahan se chaliye

doston hi ke qabile mein ye kohram nahin

dushmanon ne bhi kaha chaliye yahan se chaliye

(472) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath UThte Hi KaTa Chaliye Yahan Se Chaliye In English By Famous Poet Mazhar Imam. Hath UThte Hi KaTa Chaliye Yahan Se Chaliye is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Hath UThte Hi KaTa Chaliye Yahan Se Chaliye for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Hath UThte Hi KaTa Chaliye Yahan Se Chaliye in PDF.