Harf-e-dil Na-rasa Hai Tere Shahr Mein

harf-e-dil na-rasa hai tere shahr mein

har sada be-sada hai tere shahr mein

koi KHushbu ki jhankar sunta nahin

kaun sa gul khila hai tere shahr mein

kab dhanak so gai kab sitare bujhe

koi kab sochta hai tere shahr mein

ab chanaron pe bhi aag khilne lagi

zaKHm lau de raha hai tere shahr mein

jitne patte the sab hi hawa de gae

kis pe takiya raha hai tere shahr mein

ek dard-e-judai ka gham kya karen

kis maraz ki dawa hai tere shahr mein

ab kisi shahr ki chah baqi nahin

dil kuchh aisa dukha hai tere shahr mein

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harf-e-dil Na-rasa Hai Tere Shahr Mein In English By Famous Poet Mazhar Imam. Harf-e-dil Na-rasa Hai Tere Shahr Mein is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Harf-e-dil Na-rasa Hai Tere Shahr Mein for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Harf-e-dil Na-rasa Hai Tere Shahr Mein in PDF.