Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae

kis samt ja raha hai zamana kaha na jae

ukta gae hain log fasana kaha na jae

apna makan ujaD ke sahraon ki taraf

wo shaKHs kyun hua hai rawana kaha na jae

lamhon ki tarah guzri hain sadiyan to bar-ha

ek pal bana hai kaise zamana kaha na jae

shoale bane hain lafz to kanTa hui zaban

ab kya karen jo tera fasana kaha na jae

hai aankh ufuq pe barf ki surat jami hui

shab hogi kab sahar ka nishana kaha na jae

kahne ko ye ghazal hai magar kya ghazal jise

nauha kaha na jae tarana kaha na jae

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae In English By Famous Poet Mazhar Imam. Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Kis Samt Ja Raha Hai Zamana Kaha Na Jae in PDF.