Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja

koi sune na sune arz-e-haal karta ja

na ruk jawab ki KHatir sawal karta ja

samundaron ko hawa mein uchhaal de ek bar

tu ba-hunar hai to ye bhi kamal karta ja

badal de hijr ki saat ko wasl lamhon mein

bana ke kaam ko aasan muhaal karta ja

tu be-misal agar hai to mujh mein zahir ho

mujhe bhi apni tarah be-misal karta ja

qarib aa ki ujalon ke haar pahna dun

mujhe asir-e-shab-e-la-zawal karta ja

shikast o fath nasibon se hai wale ai dil

mile hain zaKHm to KHud indimal karta ja

yahin kahin tera mazi bhi sans leta hai

guzarne wale bas itna KHayal karta ja

tera hunar teri danai bad-dua hai 'imam'

zawal tera muqaddar kamal karta ja

suKHan-nawaz mere nukta-chin mere naqid

mujhe shikar-e-itab-o-jalal karta ja

bahut se tir hain teri kaman mein qaid ab bhi

mere lahu se qaba apni lal karta ja

mere zawal pe kar sabt aaKHiri tahrir

ye kar-e-nek bhi ai la-zawal karta ja

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja In English By Famous Poet Mazhar Imam. Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Koi Sune Na Sune Arz-e-haal Karta Ja in PDF.