Mausam Ke Badalne Ka Kuchh Andaza Bhi Hota

mausam ke badalne ka kuchh andaza bhi hota

jab ghar hi banaya tha to darwaza bhi hota

hum sher-e-namak-rez sunate sar-e-mahfil

jo zaKHm fasurda tha tar-o-taza bhi hota

tum hote to mearaj-e-KHayalat bhi hoti

bikhre hue alfaz ka shiraaza bhi hota

jazbaat ki aankhon mein chamakta koi shoala

ehsas ke ruKHsar pe kuchh ghaza bhi hota

raqqasa-e-diroz bhi be-pairahan aati

doshiza-e-imkan ka KHamyaza bhi hota

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam Ke Badalne Ka Kuchh Andaza Bhi Hota In English By Famous Poet Mazhar Imam. Mausam Ke Badalne Ka Kuchh Andaza Bhi Hota is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Mausam Ke Badalne Ka Kuchh Andaza Bhi Hota for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Mausam Ke Badalne Ka Kuchh Andaza Bhi Hota in PDF.