Maza Lams Ka Be-zabani Mein Tha

maza lams ka be-zabani mein tha

ajab zaiqa KHush-gumani mein tha

meri wusaton ko kahan jaanta

wo mahw apni hi be-karani mein tha

miTate rahe awwalin yaad ko

ki jo naqsh tha naqsh-e-sani mein tha

bahut der tak log sahil pe the

safina mera jab rawani mein tha

hamin se na aadab barte gae

saliqa bahut mezbani mein tha

mai-e-kohna mein tha nasha-dar-nasha

magar jo maza taza pani mein tha

hamein wo hamin se juda kar gaya

baDa zulm is mehrbani mein tha

safar mein achanak sabhi ruk gae

ajab moD apni kahani mein tha

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maza Lams Ka Be-zabani Mein Tha In English By Famous Poet Mazhar Imam. Maza Lams Ka Be-zabani Mein Tha is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Maza Lams Ka Be-zabani Mein Tha for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Maza Lams Ka Be-zabani Mein Tha in PDF.