Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin

mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin

husn tera isi parde mein KHud-ara to nahin

dam-e-zulmat bhi jo aankhon mein hai taswir-e-sahar

hath kuchh is mein bhi ai dost tumhaara to nahin

kakul-e-waqt mein suljhaw nazar aata hai

aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara to nahin

mere ehsas ki wadi mein shafaq si jhalki

mujh ko doshiza-e-fitrat ne pukara to nahin

daman-e-husn se kuchh aur sulag uThti hai

ishq ki aankh mein shabnam bhi sharara to nahin

manta hun ki kinare ki tamanna hai mujhe

main ne tufan se kiya phir bhi kinara to nahin

KHun-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailan-e-bahaar

dekhna ghuncha-e-nauras mein sharara to nahin

phir nae sar se par-o-baal mein jumbish si hui

nargis-e-shahid-e-gul ka ye ishaara to nahin

tham gai saut-e-jaras ruk gae rahbar ke qadam

kisi gum-karda-e-manzil ne pukara to nahin

main ne mana tere kuche mein qadam uTh na sake

zist ki dauD mein lekin kabhi haara to nahin

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin In English By Famous Poet Mazhar Imam. Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Mera Fan Meri Ghazal Tera Ishaara To Nahin in PDF.