Mere Harif Hi Ko Sahi Chahta To Hai

mere harif hi ko sahi chahta to hai

ab us ki zindagi mein koi tisra to hai

mana guzarta hai wo masruf zindagi

lekin kabhi kabhi hi mujhe sochta to hai

chhalki hui hain saat-e-jaan ki gulabiyan

mahfil mein aansuon ki abhi rat-jaga to hai

us ko udas dekh ke kitni KHushi hui

meri tamam umr ka gham-ashna to hai

nok-e-mizha pe us ki sitara kabhi kabhi

mere dhaDakte dil ki tarah kanpta to hai

sach hai ki titliyon se use hai munasibat

kam kam hi barg-e-dil pe magar baiThta to hai

angDaiyon se phul ki aati to hai sada

KHushbu ka shoKH-o-shang badan TuTta to hai

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Harif Hi Ko Sahi Chahta To Hai In English By Famous Poet Mazhar Imam. Mere Harif Hi Ko Sahi Chahta To Hai is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Mere Harif Hi Ko Sahi Chahta To Hai for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Mere Harif Hi Ko Sahi Chahta To Hai in PDF.