Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla

na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

ye rasta bhi usi narm-gam ka nikla

nae gulon ki sada-e-shaguft tez hui

hawa ke lams se rishta kalam ka nikla

musawwiri na sahi kaam aai be-hunari

koi bahana to un se salam ka nikla

talash-e-rizq mein nikle the mahr-e-subh liye

aqab se pahla sitara bhi sham ka nikla

yahan bhi dhup chali aai be-KHayali ki

ye saeban-e-tasawwur na kaam ka nikla

musahibon ki tarah har qadam pe KHar mile

mera safar to baDe ehtimam ka nikla

wahi shajar wahi patte wahi hawa wahi aag

kalam-e-nau bhi mera rang-e-am ka nikla

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla In English By Famous Poet Mazhar Imam. Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Na Ham-nawa Mere Zauq-e-KHiram Ka Nikla in PDF.