Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai

pas-ghubar-e-hawas raat Dhalti rahti hai

nashe mein chur pighalti machalti rahti hai

KHabar yahi hai ki aaghosh-e-hijr mein pahron

tumhaari yaad bhi pahlu badalti rahti hai

ye main ne dekha hai akasr phaTi purani hayat

sar-e-daricha-e-shab hath malti rahti hai

qafas se hum bhi nikalne ko kab se hain be-tab

magar wo saat-e-aKHir jo Talti rahti hai

wo rang rang bahaaran hai khulta rahta hai

wo shaKH shaKH samar-war hai phalti rahti hai

hai ek kar-e-ziyan shahr shahr dar-badari

magar yahi ki tabiat bahalti rahti hai

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai In English By Famous Poet Mazhar Imam. Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Pas-ghubar-e-hawas Raat Dhalti Rahti Hai in PDF.