Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se

phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se

guzre na kahin gardish-e-dauran bhi idhar se

puchhen to zara pech-o-KHam-e-rah ki baaten

kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se

shayad kahin suraj ki kiran sham ko phuTe

hum shama jalae hue baiThe hain sahar se

logo meri aashufta-sari par na karo tanz

ilzam utaro koi us zulf ke sar se

dekha na unhen dida-e-hairat ne dobara

jalwon ko shikayat hai meri tab-e-nazar se

KHushbu-e-gul-o-lala chhupa lete hain patte

ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se

tare to chamak apni dikhate hain sahar tak

dil Dubne lagta hai magar pichhle pahar se

ghairon ki nigahen tere jalwon se hain sairab

ai kash ye baadal meri aankhon pe bhi barse

zulmat hi ke sae mein sukun DhunDiye 'mazhar'

KHairaat bahut mang chuke nur-e-sahar se

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se In English By Famous Poet Mazhar Imam. Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Phir Aapne Dekha Hai Mohabbat Ki Nazar Se in PDF.