Sar-e-ihata-e-gham Raat Bhar Sanwarna Tha

sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

teri judai mein kar-e-hunar bhi karna tha

ufuq qarib tha himmat ki surKH-rui ka

lahu mein Dub ke dariya ko par utarna tha

hamein thi kaun si sajde ki aarzu tum se

magar dua mein kabhi hum ko yaad karna tha

agar main barg-e-sahar hun to tum ko thoDi der

misal-e-qatra-e-shabnam yahan Thaharna tha

jawab ka to pata tha hamein magar phir bhi

lab-e-sawal mila tha sawal karna tha

wo log sahil-e-shab par bikhar gae kaise

unhen to aaina-e-subh mein sanwarna tha

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-ihata-e-gham Raat Bhar Sanwarna Tha In English By Famous Poet Mazhar Imam. Sar-e-ihata-e-gham Raat Bhar Sanwarna Tha is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Sar-e-ihata-e-gham Raat Bhar Sanwarna Tha for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Sar-e-ihata-e-gham Raat Bhar Sanwarna Tha in PDF.