Shama Ki Lau Tez Itni Thi Dhuan Hona Hi Tha
shama ki lau tez itni thi dhuan hona hi tha
faede ke kaam mein kuchh to ziyan hona hi tha
kis ko KHush aati hamari chhat ki saya-afgani
ghar banaya tha to phir be-KHanaman hona hi tha
hum natije ke liye ta-zindagi baiThe rahe
ye kahan samjhe ki pahle imtihan hona hi tha
wadi-e-gul se nikalna ek majburi sahi
shahr-e-na-pursan mein hum ko raegan hona hi tha
(400) Peoples Rate This