Taron Se Bhari Rahguzar Le Ke Gai Hai

taron se bhari rahguzar le ke gai hai

ye subh charaghon ka nagar le ke gai hai

tum ko to pata hoga ki hamrah tumhin the

duniya mere KHwabon ko kidhar le ke gai hai

pyase the to pani ko pukara tha hamin ne

naddi idhar aai hai to ghar le ke gai hai

ek manzil-e-be-maqsad o be-nam ki KHwahish

kanTon ki sawari pe safar le ke gai hai

be-baal-o-pari ab bhi sar-e-dasht hai mahfuz

aandhi to faqat barg o samar le ke gai hai

shayad ki ab aae teri qurbat ki nai fasl

is bar dua bab-e-asar le ke gai hai

chamkega abhi zewar-e-shahzadi-e-mahtab

us tak wo mere shab ki KHabar le ke gai hai

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taron Se Bhari Rahguzar Le Ke Gai Hai In English By Famous Poet Mazhar Imam. Taron Se Bhari Rahguzar Le Ke Gai Hai is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Taron Se Bhari Rahguzar Le Ke Gai Hai for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Taron Se Bhari Rahguzar Le Ke Gai Hai in PDF.