Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua

tera KHayal sar-e-sham gham sanwarta hua

bahut qarib se guzra salam karta hua

jhijak raha tha wo mujh se nazar milate hue

ki main bhi tha isi KHake mein rang bharta hua

main gharq hone hi wala tha jab to ek tinka

bhanwar se mujh ko dikhai diya ubharta hua

mila wo panch sitaron ki raqs-gahon mein

zamane bhar se pasheman KHud se Darta hua

masafaten hain bahut aur saKHt rahon se

guzar gaya hai wo mujh ko talash karta hua

raqam hua nahin ab tak nisab-e-ham-safri

wo qafila bhi mila jab to kuch karta hua

ajab tilism-e-safar hai ki sham-e-maqtal tak

pahunch gaya hun main har moD par Thaharta hua

kinara tha mere dariya se kaT gaya wo shaKHs

ki main tha waqt ki sarhad ko par karta hua

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua In English By Famous Poet Mazhar Imam. Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Tera KHayal Sar-e-sham Gham Sanwarta Hua in PDF.