Uski Aankhon Mein Tamanna-e-sahar Rakh Dena

us ki aankhon mein tamanna-e-sahar rakh dena

sina-e-shab mein kisi baat ka Dar rakh dena

aaj guzrega isi samt se wo mahr-e-badan

dil ke raste mein zara chand shajar rakh dena

ye na kahna ki andhera hai bahut rahon mein

us se milna to hatheli pe qamar rakh dena

us ko ashaar sunana to karamat ke sath

apne TuTe hue lafzon mein asar rakh dena

wardaten to kai shahr mein guzri hongi

aaj aKHbar mein meri bhi KHabar rakh dena

jis waraq par hai hadis-e-lab-o-ruKHsar raqam

us waraq par koi barg-e-gul-e-tar rakh dena

ek mahtab daraKHshan hai sar-e-baam-e-KHayal

meri aankhon mein bhi nairang-e-nazar rakh dena

lala-e-sang se tarashe wo koi paikar-e-sang

dast-e-sanna mein ek ye bhi hunar rakh dena

(435) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Uski Aankhon Mein Tamanna-e-sahar Rakh Dena In English By Famous Poet Mazhar Imam. Uski Aankhon Mein Tamanna-e-sahar Rakh Dena is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Uski Aankhon Mein Tamanna-e-sahar Rakh Dena for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Uski Aankhon Mein Tamanna-e-sahar Rakh Dena in PDF.