Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe

us ko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe

ghumti jae zamin aur koi mehwar na rahe

us ne himmat jo baDhai bhi to rakkha ye lihaz

koi buzdil na bane koi dilawar na rahe

us ne is tarah utari mere gham ki taswir

rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe

us ne kis naz se baKHshi hai mujhe ja-e-panah

yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe

ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali

yun ki rah jae shajar shaKH-e-samar-war na rahe

ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil

lafz rah jaen magar koi suKHan-war na rahe

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe In English By Famous Poet Mazhar Imam. Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe in PDF.