Zindagi Kawish-e-baatil Hai Mera Sath Na ChhoD

zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD

tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhoD

log milte hain sar-e-rah guzar jate hain

tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhoD

tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe

tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhoD

tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar

tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhoD

main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron

tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhoD

is rifaqat ko sipar apni bana len ji len

shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhoD

ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab

tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD

ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag

tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD

(490) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Kawish-e-baatil Hai Mera Sath Na ChhoD In English By Famous Poet Mazhar Imam. Zindagi Kawish-e-baatil Hai Mera Sath Na ChhoD is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Zindagi Kawish-e-baatil Hai Mera Sath Na ChhoD for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Zindagi Kawish-e-baatil Hai Mera Sath Na ChhoD in PDF.