Aangan Mein Ek Sham

sham ki

lamha lamha

utarti hui

dhund mein

sar jhukae hue ghar ke

KHamosh aangan mein baiThe hue

meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se

ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin

sham ki

rasta rasta

utarti hui dhund mein

is bipharte samundar ki aawara lahron ko

chori chhupe

dafn karna paDa

us khanDar mein

jahan murda sadiyon ke bhaTke hue rah-rau

chiKHte phirte hain

apni hi khoj mein

KHauf ka sanp

rag rag mein KHun ki tarah sarsaraata raha

raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan

dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin

aur puchhe mohabbat se israr se

ye baiThe-biThae tumhein kya hua

kuchh mujhe bhi kaho

(359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aangan Mein Ek Sham In English By Famous Poet Mazhar Imam. Aangan Mein Ek Sham is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Aangan Mein Ek Sham for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Aangan Mein Ek Sham in PDF.