Rishta Gunge Safar Ka

ye kis janam mein

hum

dobara mile hain

ye KHat

rang

qad

sab mujhe jaante hain

mere lams se aashna hain

main bhaTka hun

kitne sarabon mein sahraon mein

kai karwan mujh se aage gae

un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain

abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai

mujh se pichhe

nae karwanon ki gard uDa rahi hai

kuchh jiyale jawan

taza-dam tez-rau

aur main

waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir

jo har qafile se alag

rah-rawon se alag

ajnabi samt

yun chal raha hai

ki us ke siwa koi surat nahin hai

tahayyur se paida masarrat ke aansu liye

is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the

kaun se karwan se bhaTakti hui

tum dobara idhar aa gai ho

tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai

tumhaari ragon mein bhi

meri ragon ki tarah

kitni sadiyon ka KHun

kitni naslon ka KHun

maujzan hai

aur ye sari naslen

shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain

yunhi kab talak phone par baat karte rahenge

yunhi fasla jism ka lams ka

ek rishta faqat saut-o-awaz ka

ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka

jo kab TuT jae

kise ye pata hai

kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho

ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishta Gunge Safar Ka In English By Famous Poet Mazhar Imam. Rishta Gunge Safar Ka is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Rishta Gunge Safar Ka for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Rishta Gunge Safar Ka in PDF.