UkhaDte KHemon Ka Dard

kahin bhi ja-e-aman nahin hai

na raushni mein na tirgi mein

na zindagi mein na KHud-kushi mein

aqide zaKHmon se chur paiham karahte hain

yaqin ki sans ukhaD chali hai

jamil KHwabon ke chehra-e-gham-zada se nasur ris raha hai

aziz qadron pe jaan-kani ki giraft mazbut ho gai hai

patang ki tarah kaT chuke hain tamam rishte

jo aadmi ko qarib karte the aadmi se

dilon mein qaus-e-quzah ki angDaiyan jin se TuTti thin

na fard hi ka makan salamat

na ijtimai wajud hi zer saeban hai

koi KHuda tha to wo kahan hai?

koi KHuda hai to wo kahan hai?

muhib tufan muhib-tar hai

pahaD tak ret ki tarah uD rahe hain

bas ek aawaz gunjti hai

mujhe bachao mujhe bachao

magar kahin bhi aman nahin hai

jo apni kashti pe bach rahega

wahi alaihissalam hoga

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UkhaDte KHemon Ka Dard In English By Famous Poet Mazhar Imam. UkhaDte KHemon Ka Dard is written by Mazhar Imam. Read famous Poem UkhaDte KHemon Ka Dard for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download UkhaDte KHemon Ka Dard in PDF.