Chashm-e-millat Mein Makin Kaun Hai Aagha Shorish

chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

gosha-e-dil ke qarin kaun hai aagha shorish

sher-o-insha ki bahaaren hain bahaaren jis se

wo bahaaron se hasin kaun hai aagha shorish

jis pe be-tul KHazane bhi luTa ke na hun ser

be-baha durr-e-samin kaun hai aagha shorish

jis ki jaankahi-e-isar se zindan bhi tha tur

wo daraKHshanda nagin kaun hai aagha shorish

kis ki bebaki-e-kirdar hai iman afroz

ghairat-e-dair-nashin kaun hai aagha shorish

jis ko europe ka muqamir na kabhi jit sake

nard-e-na-said-e-makin kaun hai aagha shorish

jis jawan-fikr ki taqrir se baatil larze

wo jawan azm-o-yaqin kaun hai aagha shorish

kis ki kirnon mein nae sanehe paDh sakte hain

hind ki tab-e-jabin kaun hai aagha shorish

azm-e-isar ka ek paikar-e-bedar-o-buland

hamdam-e-zar-o-hazin kaun hai aagha shorish

puchha saqi se mai-e-tund ne masti chillai

mard-e-painda-tarin kaun hai aagha shorish

shorishen aap ki hain mani-e-nau se labrez

amn-e-alam ka amin kaun hai aagha shorish

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-millat Mein Makin Kaun Hai Aagha Shorish In English By Famous Poet Meem Hasan Lateefi. Chashm-e-millat Mein Makin Kaun Hai Aagha Shorish is written by Meem Hasan Lateefi. Read famous Poem Chashm-e-millat Mein Makin Kaun Hai Aagha Shorish for youth and Student by Meem Hasan Lateefi. Free Download Chashm-e-millat Mein Makin Kaun Hai Aagha Shorish in PDF.