Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta

ghairon ka to kahna kya mahram se nahin kahta

main aalam-e-gham apna aalam se nahin kahta

paDh leti hain kaifiyyat kuchh taDpi hui nazren

dukh apne main har chashm-e-pur-nam se nahin kahta

rahgir hun main aisa har gham se guzarta hai

dawat pe jo rindan-e-KHurram se nahin kahta

mausam hama-gardish hai pasmanda-e-gardish hai

lab-tishna koi ye shai kyun jam se nahin kahta

kasb-e-mutharrik se pa-basta nasab tughre

ye kya hai koi ahal-e-KHatam se nahin kahta

aa dagh-e-mohabbat ke sanche mein tujhe Dhaalun

KHatam se main kahta hun dirham se nahin kahta

kuchh baat thi kahne ki kuchh bhul gaya ab main

fitrat se nahin kahta aadam se nahin kahta

kahte to nahin bawar na kahiye to kafir-tar

kahne ki qasam mujh ko main dam se nahin kahta

kahlane mein KHud un ka kuchh takmila naras hai

ulTe unhin shikwe hain kyun hum se nahin kahta

han meri ye uljhan to har dil mein khaTakti hai

kuchh muD ke koi zulf-e-barham se nahin kahta

kyun ho na junun kam-go jab hota hai ye zirak

dohrai hui baaten mahram se nahin kahta

kahne se hua gahra kuchh aur gham-e-pinhan

main sae se kahta hun hamdam se nahin kahta

jis lamhe se dekha hai ek sher sarapa ko

danista koi misra is dam se nahin kahta

dete hain wo mahfil mein yun dad 'latifi' ko

ashaar ye kya aksar mubham se nahin kahta

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta In English By Famous Poet Meem Hasan Lateefi. Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta is written by Meem Hasan Lateefi. Read famous Poem Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta for youth and Student by Meem Hasan Lateefi. Free Download Ghairon Ka To Kahna Kya Mahram Se Nahin Kahta in PDF.