Hashr Mera Ba-KHair Ho Mujhko Bana Rahe Ho Tum

hashr mera ba-KHair ho mujh ko bana rahe ho tum

KHak mein jaan Dal kar KHak uDa rahe ho tum

ibrat-e-zauq-e-zahr KHanda-e-zauq-e-zabuni-e-do-chand

shauq baDha ke pai-ba-pai shamen bujha rahe ho tum

mere adam mein bhi baham tha sitam-e-azal ka gham

pahle hi main nazar tha aur sata rahe ho tum

soz to soz hai magar saz bhi soz ho na jae

saz ko aaj soz ke samne la rahe ho tum

darKHur-e-sajda hai abhi aur abhi nang-e-zindagi

ishq-e-wafa-sarisht ko KHub rula rahe ho tum

tohmat-e-hast bhi rawa hasil-e-nist bhi baja

han meri sarnawisht ke dagh miTa rahe ho tum

KHanda-e-zer-e-lab bhi hai girya-e-be-sabab bhi hai

be-hama-o-bahar-e-ada rang jama rahe ho tum

(540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hashr Mera Ba-KHair Ho Mujhko Bana Rahe Ho Tum In English By Famous Poet Meem Hasan Lateefi. Hashr Mera Ba-KHair Ho Mujhko Bana Rahe Ho Tum is written by Meem Hasan Lateefi. Read famous Poem Hashr Mera Ba-KHair Ho Mujhko Bana Rahe Ho Tum for youth and Student by Meem Hasan Lateefi. Free Download Hashr Mera Ba-KHair Ho Mujhko Bana Rahe Ho Tum in PDF.