Nazdik Si Shai Saya-e-hail Se Bahut Dur

nazdik si shai saya-e-hail se bahut dur

manzil hai shanasai-e-manzil se bahut dur

dushwar sahi dur nahin nukta-rasi se

lekin hai ghalat-rasmi-e-rahil se bahut dur

ye ain KHudi ishq ke aasar mein hai gham

pahlu se hai kam dur muqabil se bahut dur

har sahal-talab se to hai bargashta-badih

har sail-e-kaamil ke bhi hasil se bahut dur

qurbaniyan kuchh rakh de giro aisi uThe gunj

gir-paD ke jo pahunche koi mushkil se bahut dur

tari asar-e-sadma kabhi nashsha-e-tundi

KHud-sanji-e-haq-sirat-e-zail se bahut dur

mashshatgi-e-shana bahut silsila-e-jumba

tah-dari-e-sad-zulf-e-awail se bahut dur

ek silsila-e-mauja-e-zanjir-e-shikan sa

ghuste hue zindan se salasil se bahut dur

ghaltida-o-pechida-o-ashufta si ek mauj

sahil ko liye zad mein hai sahil se bahut dur

sad-zawiya mehrab-e-taghayyur kam-o-afzun

idrak ke bazu-e-hamail se bahut dur

yun jaise ki har asr-e-rawan ke mutawazi

mausam ki har ek shaq ke mumasil se bahut dur

pinhan abhi kam-posh bhi mubham abhi har bar

payabi-e-mizrab rag-e-dil se bahut dur

lahut ki ek lahar su-e-karb-e-dil-e-KHak

laya koi jazba kisi mahfil se bahut dur

aashob-e-qadah jasta su-e-gasht piyaada

wamandagi-e-tishna-o-sar-joshi-e-baada

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazdik Si Shai Saya-e-hail Se Bahut Dur In English By Famous Poet Meem Hasan Lateefi. Nazdik Si Shai Saya-e-hail Se Bahut Dur is written by Meem Hasan Lateefi. Read famous Poem Nazdik Si Shai Saya-e-hail Se Bahut Dur for youth and Student by Meem Hasan Lateefi. Free Download Nazdik Si Shai Saya-e-hail Se Bahut Dur in PDF.